Total Pageviews

Monday, December 13, 2010

zindagi ko hasna sikhaye :)

Kal se milkar aai thi aaj ,chupke se bandhe suro ke sargam ko gun gun aai thi aaj
waqt ki bhawaro se lad kar aai thi,mud mud kar kai najro se kheli thi
shaam ko pairo me bandhe ,subaho me dhali thi
kalkal karti nadi k pani ki tarah chali thi , aakar teri baho me lamho si judi thi 
khare pani ki tarah suni suni thi ,tere naino me aakar basi,
neendo se raatbhar jhagdi thi.
Raho me badi dhalane hai,sath tu mere hai,chal utar aayein ..
Jindagi ki khoi khoi vaadiyo me chal gujar jaye...
Mishri se ghuli saath hai, chal ek sadiya bita le..
kal na jane, ye pahar ho na ho...palko ki chadar me saji ye galiya..fr ho na ho ...i
chal inhe yaado se saja le .......
Hawao se pata mang kar tujhse mili mai ,kaali ghatao se suni teri baate jhuthi muthi..
Arre chupke se aawaj to de tu,mujhe fir se pangdandiyo par dhakka to de tu..
tere paon ke nishan haiavi tak,jo maine baadalo ko  pahankar tujhpar udai hai..
kohre ki thandi thandi aachon par,tere kaano me maine kuch ghole hai..
chal chalkar sabko bataye...fr se jindagi ko hasna sikhaye....
Bujha de chal suraj ko,saagar ko ghula de khud me,bana de reshmi har eik muskan ko....

2 comments:

Gaurav Arora said...

Nice poem!!
Really interesting :)
It made me recall a poem i wrote someday...
Uff… Ye Hawaayein ♥
You can select Language....Hindi/English there..
Waiting your visit ..

Gaurav Arora said...

Why don't you reply Shikha?