Total Pageviews

Monday, May 10, 2010

Kabhi Kabhi Dekha Hai


Kabhi kabhi deewaro par shakl bante  dekha hai
Raat ke sannate mein ,shaikro najm bante dekha hai
zamane ki bheed se jb bhi alag hua,
Tanhai ko khud se lipat te  dekha hai.
Jistarah,yaadon ke barf ko,palko se pighalte dekha hai….
Kbhi  hawao ko bhi mujhse saans lete dekha hai,
Ajnabee ehsaaas ko ajnabee rog bante dekha hai
Jistarah,,har subah ,tere saaye ko sirahne jagte dekha hai.
Kbhi khairato me to, kbhi ibaadato me tujhe sang chalte dekha hai.
Ek deep ki tarah,har seher makhmali kiran bante dekha hai.
Panchhiy ke geeto me bhi , teri mishri si baato ke  ghol ko piya hai.
Jistarah rab ki duao me ,apni hatheli ki rekhao ko ,rang badalte dekha hai….

2 comments:

little by little , bit by bit said...

aisi kavitaye bahuth kum dekhe hai...
you write very well, very good expression of thoughts.

Unknown said...

thanx dear:):)