Total Pageviews

Thursday, June 14, 2012

Kyun





Kyun roke hue hu mai swaym ko,
Kyun bandhi hui hu moh ke dor se,
Kab tak swaym ko paraya karti rahungi dusro ke liye,
Kya mera koi auchitya nahi hai.
Kaisi raat me soi hai meri chetna.
Ab to jaago bhor hui hai,
Nadi ki kalkal shor se jagi hai,
Chidiyo ki chahchahat se asmaan bhi,
Mand mand muskura raha hai.
Baheliyo ka ek jhund us oud se aaraha hai.
Parantu,
Swachhand man ke shor se o bhi dara dara hai.
Aaj mera mann bhi abhimani bana hua hai,
Sare bandhan tod,inhi panchhiyo sa gunguna raha hai.