Total Pageviews

Sunday, April 11, 2010

Aadmiyat


Aaj jindagi ko bahut kareeb se dekha,
Waqt ki bahti bayaro me,
Khud ko bahut gareeb sa dekha.
Jab palte panne khud ke,
To apne astitava ko ,
Tute hue lakir sa dekha.
Jhuth se bani khawabo ki imarat me,
Khud ko bandhe janjir se dekha.
Jaane kab se roke rakha tha,
Jajbaato ko,
Aaj unhi ko khuli hawa me saans lete dekha.
Kab se baadal baadal sa ,jo mandra raha tha mujhme,
Un aankho me bhi hara hara barsaat sa dekha.
Dard jo sine me harpal uthte the,
Unhe dhua dhua karte dekha.
Jaane kab se mausam sukha sukha sa tha,
Aaj unme gile bundo ka ek bhor sa dekha.
Dur kahi mera desh tha,
Uski khusboo se aaj khud ko sawarte dekha.
Khuda se jo berukhi thi,
Anjane me hi sahi,par jo gariyat thi,
Uske adao me bhi khud ko sharik sa dekha.
Jo tanha tanha sa tha,aapno se,
Us tanhai me bhi,
Aaj apne aksh ko mahfuj sa dekha.
Jo talash thi meri mujhme,
Us talash me ,
Aaj apni aadmiyat ko dekha.

No comments: