Total Pageviews

Saturday, April 24, 2010

Chand shabdo me

Ham Mohabbat ko afsano me bataya nahi karte,
Chand shabdo me piroya nahi karte.
Ye to shabab hai jindagi ka,ae shaaki,
Ham yunhi tanhai ka lutf uthaya nahi karte...
Kaise kahde logo ko,ki ham tanha nahi,
Unhe ham mehfil mehfil sa najar aaya nahi karte.
Ham to deewane hai,dhup bin saaye ke,ki;
Mehboob mere sang sang hai,
Sare aam ye jataya nahi karte.
Umar hai,aur kuchh hamari aadaye bhi,
Mehfil me kuch najre jati to hai,
par kaise samjhaye un gair najro ko,
Har najar ko apna ham banaya nahi karte.
Aadtan Ishq hai,bada naasur,
Har zikar par unke shushk nam ho jaata hai,
ki,

jise samajhte hai apna katil,
khuda usse milaya nahi karte....

No comments: