Total Pageviews

Thursday, May 20, 2010

Uljhe Uljhe

Uljhe uljhe sawalo se paresaan raha karta hai,
Thak kar har shab khud se hi mila karta hai
Anjane rashte hai, aur jane pahachane log,
Kis kis se kahe ,kaha kaha simta rahta hai.
Harain paresaan jb khud ko dekhta hai,
Aaina bhi jhutha,har  jhalak daga deta hai..
Par jb tanha tanha ye rahta hai,
Aaspaas Roshni se dhala karta hai .
Chupke se jo koi khala ho to use rog bana le,
Par ye jakhm sa sine me daba karta hai…
Har rashte par ek naya rashta dekha karta hai
Jindagi ki madham aawaz me
,khud se hi baate kiya karta hai.
Ik sa kuch palo ka dard ho to rok le,
Ye to har pal chubha karta hai,
sambhale si bhi nai jo sambhale ,aisa dard bana karta hai


1 comment:

Gaurav Arora said...

Ik sa kuch palo ka dard ho to rok le,
Ye to har pal chubha karta hai,
sambhale si bhi nai jo sambhale ,aisa dard bana karta hai..

Kyu dard bewajah dil me dabaaye rakhte ho,
Kyu dil ke alfaz aankho me chhupaaye rakhte ho..
Itna bewafa bhi nahi ye zamaana,
Jitna begaana tum banaaye rakhte ho..

:(