Total Pageviews

Thursday, March 10, 2011

Palke sangini


Raas kare,kitne rango me tu,
aye re jalti bujhti palke sangini,\
Ab to rooh ko jala ja,
kyu karti hai hara hara
duba duba jati hai,
ye gahrai..aah!
aaj jo bhingi mai,
teri saanso se hi ja  khili mai
Neendo se kya hui teri baat 
jo ab mujhse shikwa kar rahi tu
karwate lelekr raat gujari hai
sujhe na kuch, are ab to maan ja
aye re mandir masjid meri,palke bandini
Jaanu,ya na jaanu,par hairan hu mai
sajda sajda ,hai!
tere titliyo se man ki ye udaan,
badi megha megha hai,
Rok le abhi,
najane kaha kaha barse ye,
Mehndi se kajrai aaj tu hai
Kitne juthe muthe sapne dikhayegi
Ye to tu bhi jane,na kuch chhipa tujhse
Na,na na,naanaa
O sunle re khawise ,meri,
aaj baras ja jibhar k,sahra sahra hai
dabe paao k nishan hai
utri jo aaj badlo se,
mahka mahka sab kuch hai.
Kal kal karta ye akelapan
Khidki se reshm dor k tale 
aaungi mai,,
Ruk jaa aaj yaha,kirne hai mutthi me meri
Teri baaho ki bagiya se aa jindagi ko chhupayi
Fir kaahe ko mohe,tu de dosh re,
Aaj mai jali,aaa mujhe bhi chhu le ,
band hote dar par o aashiq aajan diye hai,
sunle uski bhi,paani paani ban ghul ja mujhme.
Jidd na kar chunri bhingoi hai ,
Ahhh!!!
meri bunde bunde,saawan saheli......


No comments: